hawa ki tez-gamiyon ka inkishaf kya karen jo dosh par liye ho us ke bar-khilaf kya karen yaqin aur guman ki jang se gurez tha nahin jo faisla kiya hai us se inhiraf kya karen wo dusron ki aankh ka ghubar to liye rahe to apne gard gard aaine ko saf kya karen jo manzilen dikhai thin wo mumkinat mein se thin par apni himmaton ki barf mein shigaf kya karen 'humaira' e'timad ka pahad dher ho gaya aur ab bhi sochte hain un se ikhtilaf kya karen