hawa ne dosh se jhatka to aab par thahra main kuchh bhanwar mein gira kuchh habab par thahra zamin se jazb ye pighli si nikhaten na huin urus-e-shab ka pasina gulab par thahra gham o nashat ka kitna hasin sangam hai ki tara aankh se tuta sharab par thahra rupahli jhil ki maujon mein iztirab sa hai qadam ye kis ka sunahre sarab par thahra main lafz-e-kham hun koi ki tarjuman-e-ghazal ye faisla kisi taza kitab par thahra