hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun

hawas ki duniya mein rahne walon ko main mohabbat sikha raha hun
jahan pe daman bichhe hue hain wahan par aankhen bichha raha hun

surud-e-gham par bhi zindagi mein tarab ke dhaare baha raha hun
main un ke saz-e-jafa par apni wafa ke naghme suna raha hun

ilahi duniya mein aur kuchh din abhi qayamat na aane pae
tere banae hue bashar ko abhi main insan bana raha hun

adam ke tarik raste mein koi musafir na rah bhule
main sham-e-hasti bujha kar apni charagh-e-turbat jala raha hun

main apni tarz-e-junun ke sadqe mera junun bhi ajab junun hai
kisi ka daman pakad raha hun kisi se daman chhuda raha hun

abhi to aaya hi tha wahan se kabhi na jaane ka ahd kar ke
magar mohabbat zahe mohabbat abhi wahin se phir aa raha hun

mili hai kanton ki mujh ko qismat magar hai phulon ki meri fitrat
jahan hun pamal-e-gham hun lekin jahan bhi hun muskura raha hun

chala hai shauq-e-sujud le kar ilahi ye kis ke dar ki jaanib
abhi to pahla qadam utha hai abhi se main sar jhuka raha hun

teri nazar kya main apne dil se bhi gir ke jata hun anjuman se
jahan ki hoti hai khatm duri wahan se bhi dur ja raha hun

ye kis ke kuche mein gamzan hun ye aastan kis ka samne hai
main apne qadmon par aaj 'bismil' sar-e-do-alam jhuka raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close