haya bhi aankh mein waraftagi bhi

haya bhi aankh mein waraftagi bhi
badan mein pyas lab par khamushi bhi

dariche band hon achchha hai lekin
zaruri hai hawa bhi raushni bhi

main waqif hun teri chup-goiyon se
samajh leta hun teri an-kahi bhi

pahan len lams ki aanchen kisi din
pighal jae ye hadd-e-akhiri bhi

kiya karti hai sajde mujh ko thokar
muqaddas hai meri aawargi bhi

tumhein kho kar bhi tum ko pa chuka hun
mera hasil meri la-hasili bhi

yahi ek mod tak aana bichhadna
yahi qismat tumhaari bhi meri bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close