hayat-e-la-ubaali mujh ko 'farhat' sazgar aai ki istighna mein ishrat be-niyaz-e-iztirar aai sitam ki rah se jab bewafai kaamgar aai to phir rah-e-mohabbat se wafa kyun sogwar aai fareb-e-yak tabassum se qaba-e-gul hai sad-para shagufon ke liye kya kya bharam le kar bahaar aai meri qismat mujhe manzil pe ab lai to kya hasil jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aai ye kya andaz-e-qassam-e-azal tha kya nawazish thi mere hissa mein le de kar hayat-e-mustaar aai tahi kashkol-e-nargis aur hai saghar ba-kaf lala ye kis andaz se ab ke bahaar-e-kam-ayar aai mere kaam-o-dahan ki aazmaish ke liye shayad mai-e-do-atisha paiham ba-rang-e-nur-o-nar aai hui tauq-o-salasil ko hamare jab kabhi jumbish sada-e-rast-gari hum ko 'farhat' bar bar aai