hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge

hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge
qamis khud hi giregi to phir utaroge

khala-nawardo bahut zarre intizar mein hain
jahaz kaun sa patal mein utaroge

utar ke niche kabhi mere sath bhi to chalo
buland khidkiyon se kab talak pukaroge

wo waqt aaega ai mere apne sang-zanon
mahakte phulon ke gajre bhi mujh pe waroge

nikal rahi hai agar tirgi to kya tum log
sahar ke waqt charaghon ki lau ubhaaroge

tumhein qalam ko lahu mein dubona aata hai
'hazin' zarur tumhi sher ko nikhaaroge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close