hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

hikayat-e-lab-o-rukhsar se aage nahin jate
wo naghme jo tumhaare pyar se aage nahin jate

kamanden dalne aae the jo baam-e-surayya par
wahi ab saya-e-diwar se aage nahin jate

gada-e-zat kya jaanen nawa-e-kaenat ai dil
ye wo mansur hain jo dar se aage nahin jate

badi himmat dikhaenge to sahil chhod jaega
hamare nakhuda manjdhaar se aage nahin jate

ajab ahl-e-samaat hain jo zanjiron se ghabra kar
teri pazeb ki jhankar se aage nahin jate

murattab jin ko apni aabla-pai nahin karti
wo afsane gul-o-gulzar se aage nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close