ho raha hai abr aur karta hai wo jaanana raqs barq gird us ke kare hai aa ke be-tabana raqs daur mein chashm-e-gulabi ke tere ai baada-nosh bazm mein karta hai maston ki tarah paimana raqs is qad o rukhsar par ai shama-ru is husn par qamri o bulbul kare hai wajd aur parwana raqs ghungru jaane hai panw mein wo zanjiron ke tain kyun na is aawaz par ban ban kare diwana raqs jis ke ghar aawe wo 'hatim' naz se rakhta qadam uth khada ho kar kare is aan sahib-khana raqs