hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho

hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
qurban kar chuka hun main tujh pe yar pancho

ek dard-e-hijr se bas ye panch aarize hain
be-hoshi be-qarari ghash tap bukhar pancho

mutrib pisar ke gham mein bhate hain kis ke dil ko
gori aiman alabba des aur malar pancho

iman-o-din-o-mal-o-dil aur naqd-e-jaan bhi
main kar chuka hun pyare tujh par nisar pancho

gar tu qasam bhi khae jhute hain mere pyare
paiman-o-ahd-o-wada qaul-o-qarar pancho

karte hain qatl-e-alam zalim ye uzw tere
mizhgan-o-chashm-o-abru zulf-o-azar pancho

kohsar-o-dasht-o-dariya gulzar-o-bazm-e-ishrat
hain khar san nazar mein be-ru-e-yar pancho

is tarah mein ghazal ka likhna hai ghair-mumkin
ai 'sehr' koi bandhe go ab hazar pancho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close