hota agar dabiz junun-e-safar ka rang

hota agar dabiz junun-e-safar ka rang
khud hi utarne lagta rah-e-pur-khatar ka rang

suraj ghurub hote hue mujh se kah gaya
kuchh to bata ki kaisa hai khun-e-jigar ka rang

ai ahliyan-e-amn-o-akhuwat main kya kahun
kis darja surkh hai tere diwar-o-dar ka rang

mana ki lab khamosh the aankhen to chup na thin
sab raaz fash kar gaya teri nazar ka rang

han ai amir-e-shahr zara aankh to mila
tujh ko bataun kya hai rukh-e-mo'atabar ka rang

main aasman odh ke soya raha 'saba'
ghurbat pe meri hansta raha shab qamar ka rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close