hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai

hujum-e-yas mein man ki dua milti rahi hai
ye daulat zindagi mein barha milti rahi hai

kisi ka kuchh bigada hi nahin hum ne zamane mein
hamein to khwab likhne ki saza milti rahi hai

tere dar tak pahunchne ki kabhi naubat nahin aai
ki raste mein hamein apni ana milti rahi hai

bacha ke lakh rakkha tu ne apne daman-e-dil ko
magar zakhmon ko phir bhi kuchh hawa milti rahi hai

agar hum ghaur se dekhen to ab mahsus hota hai
ki wo hum se yunhi be-muddaa milti rahi hai

kahin bhi hath phailae nahin tere siwa hum ne
hamein har mod par teri ata milti rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close