hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain hum jalwa jalwa kahte hain wo parda parda karte hain ai naseh tu kya kahta hai wo aajiz hai mai-noshi se le tod rahe hain saghar ko hum aaj hi tauba karte hain sarkar ka hai bazar bhi kya har jins kharidi jati hai bech aae sab iman dharam hum sar ka sauda karte hain jab hum ne zaban kholi apni maslub hue maqtul hue ye dekhiye hum khamosh hue sab mera charcha karte hain ye kunj-e-qafas ye aah-o-buka ye ranj-o-alam hain mere liye kya baat hui mil kar hum se kyunkar wo girya girte hain wo dil apna bahlate hain is sham-o-sahar ke khel mein hum har subh dabaate hain jazbe har sham wo fitna karte hain jab baat wafa ki aati hai jab manzar rang badalta hai aur baat bigadne lagti hai wo phir ek wada karte hain