hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the

hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the
dil mein jhanko to kai shahr basa rakhte the

ab kise dekhne baithe ho liye dard ki zau
uth gae log jo aankhon mein haya rakhte the

is tarah taza khudaon se pada hai pala
ye bhi ab yaad nahin hai ki khuda rakhte the

chhin kar kis ne bikhera hai shuaon ki tarah
raat ka dard zamane se bacha rakhte the

le gain jaane kahan garm hawaen un ko
phul se log jo daman mein saba rakhte the

kal jo dekha to wo aankhon mein liye phirta tha
hae wo chiz ki hum sab se chhupa rakhte the

taza zakhmon se chhalak utthin purani tisen
warna hum dard ka ehsas naya rakhte the

ye jo rote hain liye aankh mein tute tare
apne chehre pe kabhi chand saja rakhte the

aaj wo shahr-e-khamoshan ki tarah hain 'ajmal'
kal talak shahr mein jo dhum macha rakhte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close