hum apna ism le kar shahr-e-sifat se nikle

hum apna ism le kar shahr-e-sifat se nikle
phir marifa-o-nakra sare lughat se nikle

lafzon mein us ne apne aaine rakh diye the
parda-nashin ke sare aks us ke khat se nikle

kya rasti hamari apni kaji se nikli
hum kya durust ho kar apne ghalat se nikle

kaj-fahmiyon ne jitni hajwen likhin hamari
hum utne hi ziyaada apni likhat se nikle

bahar gali mein bhaari fauj-e-khuda padi thi
hum kafir-e-mohabbat na-chaar chhat se nikle

hum jo bacha bacha ke rakhte rahe the khud ko
kangal ho ke aakhir apni bachat se nikle

kata gaya tha hum ko ek khas zawiye se
ye sher sab qalam ke us khas qat se nikle

becha hai kaudiyon ke mol apna mal sara
aur is tarah khud apni badhti khapat se nikle

sufi the hum magar the ruhaniyat ke qaidi
aakhir ko apni mitti ki marifat se nikle

jughrafiya thin ya phir tarikh sari jihatan
hum ho ke 'farhat-ehsas' apni jihat se nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close