hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen

hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen
na koi zaicha khinchen na istikhara karen

usi se lafz bane man bhi ek hai jin mein
to kaise harf ki be-hurmati gawara karen

usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne bakhsha
kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen

shuur-e-sher ne wo aankh khol di dil mein
ki ab to hum pas-e-imkan bhi nazara karen

firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain
khayal hi mein tere khal-o-khad ubhaara karen

ilahi khol de hum par dar-e-madina-e-ilm
ali ali isi ummid par pukara karen

asa nahin na sahi hum faqir log magar
hon mauj mein to talatum ko hi kinara karen

khuda ka shukr hai sab zar-pasand jah-talab
hamari sohbat-e-be-faiz se kinara karen

mile jo waqt to 'anjum' ba-surat-e-diwan
murattab apni riyazat ka goshwara karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close