hum hain aur zabt-e-fughan hai aaj-kal sabr ka phir imtihan hai aaj-kal hum se rutha hai to phir kis se hai khush kis pe aakhir mehrban hai aaj-kal dil bhi pazhmurda hai aankhen muzmahil yaad bas teri jawan hai aaj-kal ek wade par mita di zindagi hum sa diwana kahan hai aaj-kal ghir gae hum waqt ke tufan mein ai gham-e-jaanan kahan hai aaj-kal multafit gulchin hain na sayyaad khush barq bhi na-mehrban hai aaj-kal ek to mushkil wafa ke marhale aur phir dushman jahan hai aaj-kal dil shikasta ek 'afshan hi nahin kaun hai jo naghma-khwan hai aaj-kal