hum jun chakor ghash hain aji ek yar par

hum jun chakor ghash hain aji ek yar par
bulbul ki tarah ji nahin dete hazar par

gar ji mein kuchh nahin hai to dekhe hai kyun mujhe
ungli ko pher pher ke teghe ki dhaar par

pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamare mazar par

rukhsar par numud hua khat khabar bhi hai
yani kamar kasi hai khizan ne bahaar par

'rangin' to le ke baithe hain asbab-e-aish sab
aawe ba-shart-e-yar bhi apne qarar par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close