hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum

hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum
ho gae silsila-e-gardish-e-haalat mein gum

arsa-e-wasl mein bhi harf-e-tamanna na khula
husn-e-ilham raha parda-e-ayat mein gum

aql angusht-ba-dandan hai nazar hairan hai
kaun si chiz hui arz-o-samawat mein gum

kitne kanan hue khwab-e-zulekha mein asir
kitne yaqub rahe hijr ke sadmat mein gum

koi mail-ba-samaat na hua sad afsos!
naghma-e-dard raha sina-e-jazbaat mein gum

main tere shahr se guzra hun bagule ki tarah
apni duniya mein magan apne khayalat mein gum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close