hum kabhi khud se koi baat nahin kar pate zindagi tujh se mulaqat nahin kar pate baith jata hai jahan dard thaka-haara sa khwab bhi us se sawalat nahin kar pate un se phir aur kisi shai ki tawaqqo kaisi chand lamhe bhi jo khairaat nahin kar pate zindagi be-sar-o-saman hi guzar jati hai din jo kar lete hain wo raat nahin kar pate umr-bhar un ke muqaddar mein hain sukhe dariya apni koshish se jo barsat nahin kar pate sabr ki baat badi shukr ke dariya gahre lekin un se guzar auqat nahin kar pate kabhi bhule se muqaddar jo hamein deta hai surakh-ru hum wahi lamhat nahin kar pate ek na ek khauf hamein rok liya karta hai hum bayan dubte jazbaat nahin kar pate pas aate hain jahan apne irade 'usha' hum kabhi un ki mudaraat nahin kar pate