hum ko khush aaya tera hum se khafa ho jaana sar-ba-sar khwab ka tabir-numa ho jaana chand ashkon ne chhupaya hai mukammal manzar hum pe khulta hi gaya tera juda hona apni khwahish teri yaadon mein bhatakti hai kahin jaise gul-gasht mein titli ka fana ho jaana shakh-dar-shakh subuksar hawaon ka guzar ek qafas se kisi panchhi ka raha ho jaana ashk girte hi khile phul mere daman mein rut badalte hi parindon ka sada ho jaana ek sae ka hai ehsas mere sar pe sada kaun sochega kabhi khud se khuda ho jaana aashna hum bhi mohabbat se nahin hain hargiz hae is rabt ka bhi nazr-e-ana ho jaana