hum kya kahen ki aabla-pai se kya mila

hum kya kahen ki aabla-pai se kya mila
duniya mili kisi ko kisi ko khuda mila

hum khud ko dekhne ke to laeq na the magar
har aaina hamari taraf dekhta mila

aisa tha kaun ruh ke andar jo dekhta
har sath mein wagarna hamein jaanchta mila

insan aur waqt mein kab dosti rahi
har lamha aadmi ka lahu chatta mila

insan samajh ke hum ne use dil mein rakh liya
insan ke rup mein magar ek dewta mila

dildar bhi mile hamein par is ko kya karen
koi khayal sa to koi khwab sa mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close