hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala

hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala
andaz tha ajab ki wo khanjar ajib tha

ummid-e-baryabi to mujh ko na thi magar
sahil pe aa gaya main samundar ajib tha

dam-bhar ko bhi nigah na chehre pe tik saki
us paikar-e-jamal ka tewar ajib tha

tanha bhi rah ke hum kabhi tanha nahin hue
hamrah us ki yaadon ka daftar ajib tha

ham-dam guman hota tha phulon ki sej ka
kharon se wo saja hua bistar ajib tha

hum mahw-e-justuju the 'sahar' mustaqil magar
manzil mili na phir bhi muqaddar ajib tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close