hum to ab jati ruten hain hum se ye ighmaz kyun jurm kya hum ne kiya hai aap hain naraaz kyun mal-o-zar se bahra-e-wafir na dena tha agar ai khuda tu ne diya mujh ko dil-e-fayyaz kyun rishta-e-zar rishta-e-khun se hai badh kar mo'tabar warna chahat ke liye qarza bane miqraaz kyun khesh-bini jab ki is ka kesh-e-kam-andesh tha dosti ka pas karta banda-e-aghraaz kyun kya nai tahzib hai takzib-e-aqdar-e-salim shahr mein phaile hue hain jins ke amraaz kyun lutf-andoz-e-riyaz-e-dahr kyun hote nahin dawara kam-zarf hote hain tere martaz kyun kuchh haqaeq ko agar main ne kiya hai be-naqab ho gae naraaz mujh se sher ke nabbaz kyun puchhte hain de ke mujh ko dost-dari ka fareb 'kirshn'-mohan doston se is qadar e'raaz kyun