hum ne ehsan asiri ka na barbaad kiya marte dam munh taraf-e-khana-e-sayyaad kiya ab ki sayyaad ne turfa sitam ijad kiya be-par-o-baal samajh kar hamein aazad kiya kya teri yaad karenge falak-e-na-insaf dil-e-nashad hamara na kabhi shad kiya dil pe sadme liye jaur-o-sitam khuban ke zabt dekho na kabhi wa lab-e-fariyaad kiya aasman ki na shikayat na hasinon ka gila dil-e-na-fahm ne mere mujhe barbaad kiya itna shikwa hai khayal-e-rukh-e-jaanan se hamein dil-e-viran na hamara kabhi aabaad kiya shefta kar ke mujhe ek bune harjai par khub ruswa-e-jahan ai dil-e-nashad kiya hath aaya koi mazmun naya to samjha mujh ko farzand-e-khuda ne mere imdad kiya ishq-e-khuban mein hua ranj to rahat samjha shukr main ne ewaz-e-shikwa-e-bedad kiya kufr-o-islam ke jhagdon se chhudaya sad shukr qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya mahfil-e-ghair mein bulwa ke jalaya hum ko tum ne khalwat mein kisi din na hamein yaad kiya jis mein mazmun raqam tha teri khush-chashmi ka to usi sher pe ustad ne bhi sad kiya koh-e-gham hum ne bhi o ghairat-e-shirin kata josh-e-ulfat mein tere pesha-e-farhad kiya ek din bhi na hamara koi kahna mana hum baja lae jo kuchh aap ne irshad kiya tere diwanon ka kis dasht mein maskan na hua kaun sa hai wo kharaba jo na aabaad kiya hasart-e-qatl hi ne jaan li apni sad shukr maut ne hum ko na sharminda-e-jallad kiya dekho is ishq-e-fusun-saz ke nairang aakhir jaan li qais ki tukde sar-e-farhad kiya lakh chaha magar ek shokh hamara na hua kya jawani ko 'qalaq' muft mein barbaad kiya