hum ne hi lautne ka irada nahin kiya us ne bhi bhul jaane ka wada nahin kiya dukh odhte nahin kabhi jashn-e-tarab mein hum malbus-e-dil ko tan ka labaada nahin kiya jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud sar zer-e-bar-e-saghar-o-baada nahin kiya kar-e-jahan hamein bhi bahut the safar ki sham us ne bhi iltifat ziyaada nahin kiya aamad pe teri itr o charagh o subu na hon itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya
This is a great wada shayari fb. Please share if you liked this!!!