hum ne jo us ki midhaton se kan bhar diye goya ki kan lal kiya kan bhar diye kya kya jafaen us but-e-bad-kesh ki kahun majlis mein saikdon hi musalman bhar diye mamur ho gaya teri dawat se sab makan itr aur pan phul se dalan bhar diye khali latafaton se talawwun tera nahin sanea ne tujh mein rang sab ai jaan bhar diye ai 'mehr' husn-e-lutf-e-mazamin kuchh aur hai yun to sabhon ne sheron se diwan bhar diye