hum ne kisi ko ahd-e-wafa se riha kiya apni ragon se jaise lahu ko juda kiya us ke shikasta war ka bhi rakh liya bharam ye qarz hum ne zakhm ki surat ada kiya is mein hamari apni khudi ka sawal tha ehsan nahin kiya hai jo wada wafa kiya jis samt ki hawa hai usi samt chal paden jab kuchh na ho saka to yahi faisla kiya ahd-e-musafarat se wo mansukh ho chuki jis rahguzar se tum ne mujhe aashna kiya apni shikastagi pe wo nadim nahin hua meri barahna-pai ka jis ne gila kiya