humne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

hum ne tanha-nashini kharidi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar
shama mehrab-e-dil mein jalai to hai aarzuon ka apni kafan bech kar

mutmain hain bahut aaj arbab-e-fan apna sarmaya-e-fikr-o-fan bech kar
jaise aaina rakh de koi mah-wash halqa-e-zulf ka bankpan bech kar

kho gaya dard hangama-e-shahr mein lut rahi hai dukan-e-mata-e-nazar
ab bhi taufiq agar hai to ahl-e-junun badh ke le lo use jaan o tan bech kar

rut badalti rahi rang udte rahe kam-nazar baghban kam-nazar hi rahe
ek khayaban ko sairab karte rahe aabru-e-bahaar-e-chaman bech kar

hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan mit raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan
nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close