humne thama yaqin ko guman chhoD kar

hum ne thama yaqin ko guman chhod kar
ek taraf ho gae darmiyan chhod kar

dil na mana jien kahkashan chhod kar
ja ke baste kahan khandan chhod kar

apna ghar chhod kar bastiyan chhod kar
be-aman ho gae hum aman chhod kar

so gae beach mein dastan chhod kar
hum alag ho gae karwan chhod kar

kaise nadan the hum sab kahan aa gae
apne aabao-jad ke makan chhod kar

sath chalte rahe ye na socha kabhi
kaun jaega kis ko kahan chhod kar

aaj bhi muntazir hum wahin hain tere
kal gaya tha hamein to jahan chhod kar

rah apni nikali to manzil mili
hum chale jada-e-rahbaran chhod kar

hai ye malum gar jism-o-jaan se gae
sab chale jaenge mehrban chhod kar

gar tumhaari tamanna hai daim raho
jao zehnon mein raushan nishan chhod kar

tum to tanha hue jite-ji hi 'adil'
log jate hain tanha jahan chhod kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close