hum ne to be-shumar bahane banae hain kahta hai dil ki but bhi khuda ne banae hain le le ke tera nam in aankhon ne raat bhar tasbih-e-intizar ke dane banae hain hum ne tumhaare gham ko haqiqat bana diya tum ne hamare gham ke fasane banae hain wo log mutmain hain ki patthar hain un ke pas hum khush ki hum ne aaina-khane banae hain bhanwre unhi pe chal ke karenge tawaf-e-gul jo daere chaman mein saba ne banae hain hum to wahan pahunch nahin sakte tamam umr aankhon ne itni dur thikane banae hain aaj us badan pe bhi nazar aae talab ke dagh diwar par bhi naqsh wafa ne banae hain