humse bhi gahe gahe mulaqat chahiye

hum se bhi gahe gahe mulaqat chahiye
insan hain sabhi to musawat chahiye

achchha chalo khuda na sahi un ko kya hua
aakhir koi to qazi-e-hajat chahiye

hai aaqibat kharab to duniya hi thik ho
koi to surat-e-guzar-auqat chahiye

jaane palak jhapakne mein kya gul khilae waqt
har dam nazar ba-surat-e-haalat chahiye

aaegi hum ko ras na yak-rangi-e-khala
ahl-e-zamin hain hum hamein din raat chahiye

wa kar diye hain ilm ne dariya-e-marifat
andhon ko ab bhi kashf o karamat chahiye

jab qais ki kahani ab anjum ki dastan
duniya ko dil lagi ke liye baat chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close