hum se do-chaar bazm mein dhyan aur ki taraf aankh is taraf lagai hai kan aur ki taraf abru se hum shahid mizha se raqib hun talwar idhar lagaiye ban aur ki taraf said-e-zabun wo hun jo rawan tir idhar hua us ki qaza ne boli kaman aur ki taraf hum bekason ki qabr siwa hargiz ai falak nam-gir ko na abr ke tan aur ki taraf yarab kare jo husn ki khairaat wo sanam mere siwa kare nahin dan aur ki taraf utre na kis tarah meri aankhon mein khun 'shad' deta mujhe dikha ke hai pan aur ki taraf