hum se kinara kyun hai tere mubtala hain hum ai bahr-e-husn aa idhar aa aashna hain hum naqus mai-kade mein bajaya to ye kaha bande gunahgar tere ai khuda hain hum parwa nahin hai tum ko to hai tum pe kyun maren dubhar na zindagi hai na ghar se siwa hain hum hum se kisi ke ghamza-e-beja uthenge kya nazuk-mizaj log hain hum mirza hain hum ab kya banegi un se tabiat bigad gai ab khush rahen wo jaan se apni khafa hain hum