humse ye kah ke wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain

hum se ye kah ke wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain
kya bataoge na tum ab bhi ki hum puchhte hain

yun koi de ke zaban apni mukar jata hai
aap se kahte hain ye aap se hum puchhte hain

bhule-bhatke jo udhar koi nikal jata hai
khair but-khane ki sab ahl-e-haram puchhte hain

main ne aisa koi hamdard na dekha na suna
subh ko mujh se wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain

jo na jheli thi kabhi us ne wo aafat jheli
aap kya 'nuh' se afsana-e-gham puchhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close