husn-e-masum agar raaz-e-nihan tak pahunche

husn-e-masum agar raaz-e-nihan tak pahunche
gham ka mear khuda jaane kahan tak pahunche

ishq mein yun to sabhi sud-o-ziyan tak pahunche
kam hain aise jo mere azm-e-jawan tak pahunche

hum pahunchne ko to har wahm-o-guman tak pahunche
tum wahan ho ki nazar bhi na jahan tak pahunche

wo musibat jise duniya gham-e-dil kahti hai
main na rokun to khuda jaane kahan tak pahunche

tum kahin ja ke chhupo dawat-e-nazzara to do
phir ye maqdur-e-nazar hai ki jahan tak pahunche

hukm hai chahe gulistan ka gulistan jal jae
hath lekin na koi barq-e-tapan tak pahunche

tum rah-e-ishq mein lillah mera sath na do
silsila gham ka khuda jaane kahan tak pahunche

uf wo nazren jo mohabbat ka bharam rakh na saken
hae wo kaif jo ehsas-e-garan tak pahunche

raaz-e-ulfat main chhupata to hun lekin 'arshad'
dar hai ehsas ki talkhi na zaban tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close