ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain

ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain
jis ne charagh apne lahu se jalae hain

shayad use hamari ana ka guman na tha
hum tishnagi patak ke samundar se aae hain

ye dilkashi subut hai ai jaan-e-shairi
phulon ne rang tere labon se churae hain

hairan hai wo bhi wusat-e-parwaz dekh kar
jis ne hamari fikr par pahre bithae hain

tark-e-talluqat pe wo bhi the gham-zada
aur hum bhi apni zat se jang haar aae hain

ab nam kya bataun ki gham kis ka hai 'saba'
aankhen meri zarur hain aansu parae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close