is bar un se mil ke juda hum jo ho gae

is bar un se mil ke juda hum jo ho gae
un ki saheliyon ke bhi aanchal bhigo gae

chaurahon ka to husn badha shahr ke magar
jo log namwar the wo patthar ke ho gae

sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum
diwar par bane hue manzar mein kho gae

mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae

kis kis se aur jaane mohabbat jatate hum
achchha hua ki baal ye chandi ke ho gae

itni lahuluhan to pahle faza na thi
shayad hamari aankhon mein ab zakhm ho gae

ikhlas ka muzahira karne jo aae the
'azhar' tamam zehn mein kante chubho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close