is sal sharafat ka libaada nahin pahna pahna hai magar itna ziyaada nahin pahna us ne bhi kai roz se khwahish nahin odhi main ne bhi kai din se irada nahin pahna daude hain magar sehn se bahar nahin daude ghar hi mein rahe panw mein jada nahin pahna aabaad hue jab se yahan tang-nazar log is shahr ne mahaul kushada nahin pahna darwesh nazar aata tha har haal mein lekin 'sajid' ne libas itna bhi sada nahin pahna