is tarah karte hain kuchh log baDai uski

is tarah karte hain kuchh log badai us ki
khalq us ki hai khuda us ka khudai us ki

kya khabar thi ki yahin wasl ke sae ke qarib
dhup ke beach padi hogi judai us ki

le gae shauq se marhum ki har shai ahbab
chhod di taq ke upar hi achchhai us ki

ki hai iflas mein doshiza-e-ummid jawan
ab to bas baith ke khani hai kamai us ki

zindagi katti hai donon ki musalsal zid mein
qaid hai meri wahi jo hai rihai us ki

mo'atabar nam tha wo phir bhi hawala na diya
jaan bachane ko qasam jhuti na khai us ki

zindagi sari ganwa dun ye zaruri to nahin
ye bahut hai ki koi baat nibhai us ki

ye mohabbat nahin kuchh aur hai surat 'shahin'
tum maza le ke jo sunte ho burai us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close