ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai

ise manzur nahin chhod jhagadta kya hai
dil hi kam-maya hai apna to akadta kya hai

apne soe hue suraj ki khabar le ja kar
is kamin-gah mein kirnon ko pakadta kya hai

jaanta hai ki utar jaegi dil mein meri baat
warna sun le tu bata tera bigadta kya hai

shabnam-e-taza hai ye phul hain ya pate hain
dekh shakh-e-shajar-e-sham se jhadta kya hai

do qadam hai shab-e-gham se shab-e-wada ai dil
chand aahon ke siwa rah mein padta kya hai

dil to bharpur samundar hai 'zafar' kya kije
do ghadi baith ke rone se nabadta kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close