ishq aur ishq-e-shoala-war ki aag aag aur ulfat-e-bashar ki aag jis ko kahte hain barq-e-alam-soz hai wo kafir teri nazar ki aag hae-re teri garmi-e-raftar khak tak bhi hai rahguzar ki aag lo shab-e-wasl bhi tamam hui aasman ko lagi sahar ki aag ishq kya shai hai husn hai kya chiz kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag tur-e-sina bana diya dil ko uf-re kafir teri nazar ki aag haqq-taala bachae is se 'zahir' qahr hai ulfat-e-bashar ki aag