ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin be-karan hota nahin be-intiha hota nahin qatra jab tak badh ke qulzum-ashna hota nahin us se badh kar dost koi dusra hota nahin sab juda ho jaen lekin gham juda hota nahin zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahin kaun ye naseh ko samjhae ba-tarz-e-dil-nashin ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin dard se mamur hoti ja rahi hai kaenat ek dil-e-insan magar dard-ashna hota nahin mere arz-e-gham pe wo kahna kisi ka hae hae shikwa-e-gham shewa-e-ahl-e-wafa hota nahin us maqam-e-qarb tak ab ishq pahuncha hi jahan dida-o-dil ka bhi aksar wasta hota nahin har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj ishq hi kam-bakht manzil-ashna hota nahin allah allah ye kamal aur irtibaat-e-husn-o-ishq fasle hon lakh dil se dil juda hota nahin kya qayamat hai ki is daur-e-taraqqi mein 'jigar' aadmi se aadmi ka haq ada hota nahin