ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam husn hai sehn-e-chaman mein phul barsane ka nam raat-bhar sham-e-hazin is fikr mein jalti rahi kyun buland aakhir hai is duniya mein parwane ka na laila-o-shirin ki kya kuchh kahiye ab is gul ki baat aaj hai uncha chaman mein jis ke afsane ka nam tur-e-dil ki khair ho ab tab-e-nazzara kahan husn ka jalwa tumhaare barq gir jaane ka nam tu chaman hai aur teri raftar hai mauj-e-nasim khamushi ghuncha hansi hai phul khil jaane ka nam kahkashan hai mang teri ghaza-e-rukh chandni qad zamin par mah-o-anjum ke utar aane ka nam jab kabhi shanon pe zulf-e-ambarin lahra gai bas yahi hai nikhat-e-gul ke mahak jaane ka nam