ishq mein dil-lagi si rahti hai

ishq mein dil-lagi si rahti hai
gham bhi ho to khushi si rahti hai

dil mein kuchh gudgudi si rahti hai
munh par un ke hansi si rahti hai

ye hua hai khuda khuda kar ke
raat-din be-khudi si rahti hai

hashr ke din bhi kuchh gunah kar lun
masiyat mein kami si rahti hai

sadqe main apne ghuncha-dil ke
ye kali kuchh khili si rahti hai

itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-khudi si rahti hai

aish bhi ho to lutf-e-aish nahin
har-dam afsurdagi si rahti hai

shab-e-gham ki sahar mein nur kahan
subh bhi sham hi si rahti hai

ye nahin hai ki parda pad jae
nashshe mein aagahi si rahti hai

rahte hain gul lahad ke pazhmurda
shama bhi kuchh bujhi si rahti hai

ho gai kya bala mere ghar ko
raat-din tirgi si rahti hai

ab junun ki ewaz hai yaad-e-junun
hath mein hathkadi si rahti hai

kaf-e-pa se hina nahin chhutti
aag ye kuchh dabi si rahti hai

teri taswir ho ki tegh teri
hum se har-dam khinchi si rahti hai

badle botal ke ab haram mein 'riyaz'
hath mein zamzami si rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close