ishq mein iztirab rahta hai ji nihayat kharab rahta hai khwab sa kuchh khayal hai lekin jaan par ek azab rahta hai tishnagi ji ki badhti jati hai samne ek sarab rahta hai marhamat ka teri shumar nahin dard bhi be-hisab rahta hai teri baaton pe kaun lae dalil dil hai so la-jawab rahta hai