ishq mein kitne buland imkan ho jate hain hum

ishq mein kitne buland imkan ho jate hain hum
ek badan hote hue do jaan ho jate hain hum

ek nai tahzib le kar aane wala hai junun
us ke istiqbaal mein viran ho jate hain hum

sari girhen khol deta hai ye aab-e-khush-visal
ishq kar ke kis qadar aasan ho jate hain hum

sahab-e-khana bana aata hai jab aata hai ishq
aur apne ghar mein khud mehman ho jate hain hum

apni aaghosh-e-rawan mein ghusl kar lene de yar
ghusl kar ke ek nae insan ho jate hain hum

hum jo ye saman ghar late hain khud ko bech kar
ek din ghar ka yahi saman ho jate hain hum

us ki aankhon ke ishaare karte rahte hain raqam
dhire dhire sahab-e-diwan ho jate hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close