ishq par zor chal nahin sakta

ishq par zor chal nahin sakta
dil sambhaale sambhal nahin sakta

aa ke duniya mein inqalab koi
dil ki duniya badal nahin sakta

un ki nazren badal gain warna
yun zamana badal nahin sakta

rang-e-hasti hai inqalab agar
rang-e-hasti badal nahin sakta

aa gaya hun wahan se ghabra kar
ab kahin dil bahal nahin sakta

ishq ki aag mein jo jalta hai
wo jahannum mein jal nahin sakta

wo nigahen badal gain 'bismil'
ab zamana badal nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close