itna aasan nahin masnad pe biThaya gaya main

itna aasan nahin masnad pe bithaya gaya main
shahr-e-tohmat teri galiyon mein phiraya gaya main

mere hone se yahan aai hai pani ki bahaar
shakh-e-girya tha sar-e-dasht lagaya gaya main

ye to ab ishq mein ji lagne laga hai kuchh kuchh
is taraf pahle-pahal gher ke laya gaya main

khub itna tha ki diwar pakad kar nikla
us se milne ke liye surat-e-saya gaya main

tujh se kuchh kahne ki himmat hi nahin thi warna
ek muddat teri dahliz tak aaya gaya main

khalwat-e-khas mein bulwane se pahle 'tabish'
aam logon mein bahut der bithaya gaya main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close