izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae

izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae
hum ahl-e-yaqin wahm-o-guman tak nikal aae

shadab bahaaron ke tamannai kahan hain
mausam ke qadam zakhm-e-khizan tak nikal aae

ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat
aur aankhon se khun bhi rag-e-jaan tak nikal aae

kab niklegi diwanon ki baraat gharon se
sinon mein baghawat ke nishan tak nikal aae

maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke
dargahon mein sab pir-o-jawan tak nikal aae

ab to na karo rah-numaon ki shikayat
akhbaron mein ab un ke bayan tak nikal aae

ab kaun sar-e-dar nazar aaega 'farigh'
jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close