jaan di un pe mar-miTe siske

jaan di un pe mar-mite siske
hain hasin log aashna kis ke

un ko sikhlai hum ne aaraish
ruh phunki hai shakhsh-e-be-his ke

nale pahunche gharib ke ta-arsh
bach gae danke mard-e-muflis ke

rakh ke khanjar gale pe kahta hai
mar dala agar zara khiske

bazm mein ja mili rafiqon ko
kante boe hain bagh mein bis ke

kya bataen ki kis ke aashiq hain
wo nazar aae to kahen is ke

nala kar kar ke dil hua khamosh
rah gaya hai pa phoda ris ris ke

koi kabe gaya haram ko koi
bande dargah apne ghar ghis ke

gesu-e-yar agar hai dam-e-bala
khal-e-mushkin bhi kanten hain bis ke

chhoda piri mein ruh ne tan-e-zar
jama utra badan se ghis pis ke

dida-e-surma-sa ki ulfat mein
'muntahi' khak ho gae pis ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close